Dosto agar aap mppsc ka form fill kar rahe hai aaj hum apko batane jaa rahe hai mppsc ka form fill karte time kya kya shavdhani rakhe jisse ki hamara form reject na ho to dosto is post ko dhyan purvak pade
1 sabse pehle aap exam ka select kijiye yadi aap sirf state service ka exam dena chate hai to sirf state service select kijiye or yadi aap state forest service ka exam bhi dena chate hai to both select kijye or other wise ek exam select kijiye
2 . apna naam apne mammi papa ka naam date of birth bilkul sahi enter kare
3. yadi aapne marrige kiye hai to uski sahi details enter kare
4.apne rojghar panijyan ki sahi jankari enter kare .
5. yadi aap phd category hai to to uski sahi janakari enter kare
6. yadi aapke upar koi kanuni karwayi hui hai ya nahi hui uski sahi jankari enter kare
7. yadi apne education me graduation kar liya hai to ok yes kar de aur yadi aap graduation ke final year me hai to usme click karke jo jankari mangi gayi hai wo sahi tarike se fill kare
8. apni education ki puri puri sahi jankari de grade passing year enter karte time pura dhyan de
9. Apna address enter karte time pura dhayan rakhe ki aap address sahi enter kar rahe hai पत्राचार का पता ka aur स्थायी पता fill kar sakte time dhayan purvak fill kare
10. photo aur sign upload karte time ye dhyan de ki apki photo aur sign acche tarike se dikhai de
11. Apna mobile no aur Email id bilkul sahi enter kare nahi to apko form fill karne me bahut saari problem hogi
at last apne form ko acche se check karke submit kar de