Home Youtube youtube वीडियो मैनेजर का उपयोग कैसे करें

youtube वीडियो मैनेजर का उपयोग कैसे करें

0
youtube manager kaise use kare in hindi

How to use youtube video manager jaise ki aap sabhi jante hai dosto youtube ek bahut bada platform hai jisme humi bahut sari information milti koi bhi prb ho jo hame sikhne ho youtube me likho hame uske video mil jate hai youtube hamare liye ek bahut useful chiz bankar aaya hai dosto

Theek jaise hum logo ke liye youtube useful hai theek waise hi kuch youtuber ke liye bhi youtube bahut useful hai agar aap youtube ye to me apko aaj batagunga ki kaise hum youtube video manager ka use kare aur kaise hum accha video banaye

Benfits of youtube Mangers

  1. 1 Info & Setting Tab 

Dosto yadi aap info & setting Tab me click karenge to aapne jo video ko banaya hai aap usme basic information apke video ka title uska description aur apne video ke tag ko edit kar payenge aap thumbnail bhi change kar sakte hai

Aur Chaye to apne video ko public or private bhi kar sakte hai ye apke upar depend aur use kaha kaha share karna hai ye bhi decide kar sakte hai

iske alawa add to playlist bhi kar sakte hai

 

    2 .Translation

    Translation ka use karke aap video ka title aur description ko translate kar sakte hai

 

   3. Monetization

   aap Chaye to apne video ko motetize bhi kar sakte hai aur kis kis type ke add lagane ye yaha set kar   sakte hai

 

  4. Advanced Setting

Advance setting me aap comments ko allow karna hai nahi apne youtube ke license ko apne video ki category age restriction aur video ki language aur bhi bahut sari setting kar sakte hai

2. Enhancements

1 Enahancements me aap apne video ko stablize  auto fix kar sakte hai iske alawa aap filters ka use kar sakte hai aur aap usme blurring bhi use kar sakte hai

Bluring me do option aate hai

  • Face Blurring
  • Custom Blurring

Face Blurring ka use face ko blurring karne ke liye aap karte hai

Custom blurring ka use aap video ke us part me karte hai jisko aap video me nahi dikhana chate hai

3.Audio

Dosto Audio part me aap apne video me audio bhi laga sakte hai ye bahut hi useful hai suppose that apko apne video ke liye audio lagana hai to aap yaha se choose karke audio laga sakte hai

isme ek option hota hai aap chaye to apki voice aur audio dono ko mix karke bhi ok kar sakte hai

4.End Screen & Annotation 

End Screen Aur Annotation ka use aap video ki end me jab apka video end hoye waha kya show hona chaiye uske liye karte hai

Aapne Dekha hi hoga video jab end hota hai last me site me ek choti se place me koi dusri video dikhai deti hai isko aap End Screen bolte hai ise aap apne youtube manager se set kar sakte hai

Annonation me aap bahut saare opreation kar sakte hai

Add element me click karne ke baad apko bahut saare option milenge

  • Video Aur playlist
  • Subscribe
  • Channel
  • link

Isko aap Apne accoring Add kar sakte hai

5.Cards

Apne youtube video jab dekhe honge to dekha hi hoga video ke upar side me kuch na kuch apko dikhai deta hai jab koi youtuber kehta hai aap ye video dekhne ke liye is link pe click kijiye link apko show ho rahi hai dosto card ki help se aap apne viewer ko dusre video ke bare me bhi bata sakte hai

Card ka use jab hota hai maan lijiye apne kisi tipic bhi video banayi aur aap part 2 bata rahe ho but part 2 se pehle part 1 jaana  jaruri hai to aap bolenge ki part 1 dekhne ke liye is link pe click kijiye

Ye bhi bahut accha feature h youtube video manager ka

6.Subtitle

Subtitle to aap samazte hi honge aapne english movies dekhi hongi to usme aapne dekha hoga ki jab usme koi actor ya actress kuch bolte hai to usme likha dikhai deta hai waise hi youtube me subtitle dikhai deta hai

Subtitle bahut useful hai agar aap subtitle use karte hai koi bhi country ka person apke video ko easily samaz jayega isliye apne video me subtitle jarur lagaye

Dosto ye post kaisi lagi aap comment me apni valuable feedback jaruru dijiyega

NO COMMENTS

Exit mobile version